Dhundli raat ka ek saaya, kabhi karvaton mein hai kabhi sapnon mein,
Ek ehsaas hai, ek chuppi si hai,
Jo udti dhund ka saath chodd jaatey hai.
Kahin zarrey hain, kaii zarrey hain
Jo guzartey hue, ek kahani suna jaatey hain,
Dhund ke usi saaye ki, jise humney apne palkon tale chupaya tha.
Kaun hai yeh saaya?
Woh sapna, ki who bachi hui akeli khaali raat?
Kiski hai who chuppi?
Kiski hain who aanhe?
Kiska hai who intezaar?
Ab toh un aankhon mein, na nami hai na gaherai.
Sab kuch, wohi dhund, wahi saaya.......... apne saath jo le gaya.
6 comments:
Wah Wah!
Love the Kahin Zarrey, Kaii Zarrey bit.
Three much!
Love the ..."kahin zarrey, kaii zarrey" bit. :)
Anand
No updates, eh.
Love the blog image by the way.
ye ehsaas hota hai ki ye raat kab jaegi par ye daar bhi lagta hai ki kal ise fir aana hai aur fir lambe samay tak rahegi...to be continued...
yeh raat akhon ko kabhi niraas kaar deti hai!...aurr samajh nahin atta ki ye kab jaegi..ankhoon main daarrr bhar deti hai..aur kehti hai'dekh maujhe laad mujhse'....tab yeh dil chupke se behlata haai..'ki kuch der ke baat hai ye thodi der main chalegaegi aur yeh bhi kehta hai'saavdhan! ye kal phir AEGGI'..aur maan main kapkapi si choot jatti hai!!..to be continued...
Thanks Rahul.
Post a Comment